Lantanalu Pare 04 Ruku No 1 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.
آل عمران
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Lantanalu Pare 04 Ruku NO 1 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.
SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.
PARA:- {04}.
RUKU NO:- {1}.
AAYAT’EN:- {10}
SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.
A.(AAYAT NO 1) Jab Tak Tum Aapni Pasand’Deedah Cheez Se Allah Taala Ki Raah Me qarch Na Karoge Hargiz Bhalayi Na Paoge’ Aur Tum Jo Qarch Karo Ise Allah Taala Baqoobi Jaanta Hai. B.(AAYAT NO 2) Tauraat Ke Nuzool Se Pehle (Hazrat) Yaqoob (A.S) Ne Jiss Cheez Ko Apne Upar Haram Karliya Tha Iske Siwa Tamaam Khaane Bani Israel Par Halal The’ Aap Kehdijiye Ke Agar Tum Sacche Ho To Tauraat Le Aaao Aur Padh (Ke) Sunao.
C.(AAYAT NO 3) Iske Baad Bhi Jo Log Allah Taala ParJhoot Bohtaan Baandhe Wahi Zaalim Hai. D.(AAYAT NO 4) Kehdijiye Ke Allah Taala Saccha Hai Tum Sab Ibraheem Haneef Ke Millat Ki Pairwi Karo’ Jo Mushrik Na The. E.(AAYAT NO 5) Allah Taala Ka Prhla Ghar Jo Logao Ke Liye Muqarrar Kiya Gaya Wahi Hai Jo Makkah (Shareef) Me Hai Jo Tamaam Duniya Ke Liye Barkat Wo Hidayat waala Hai.
F.(AAYAT NO 6) Jisme Khuli Khuli Nishaaniya Hai’ Muqaam’e Ibraheem Hai Isme Jo Aajaye Aman Waala Hojata Hai Allah Taala Ne In Logao Par Jo Iske (Ghar Ki ) Taraf Raah Paa’sakte Ho Is Ghar Ka Hujj Farz Kardiya Aur Jo Koi Kufr Kare To Allah Taala (Is’se Balke) Tamaam Duniya Se Be Parwa Hai.
G(AAYAT NO 7) Aap Kehdijiye Ke Aaye Ehle Kitaab Tum Allah Taala Ki Aayato Ke Saath Kufr Kyu Karte Ho ? Jo Kuch Tum Karte Ho’ Allah Taala Is Par Gawah Hai. H.
(AAYAT NO 8) In Ehle Kitaab Se Kaho Ke Tum Allah Taala Ki Raah Se Logao Ko Kyu Rokte Ho ? Aur Isme Aaib Tatolte Ho’ Haanlake Tum Khud shahed (Gawah) Ho’ Allah Taala Tumhare Aamaal Se Beqabar Nahi.
I.(AAYAT NO9) Aaye Imaan Waalo ! Agar Tum Ehle Kitaab Ki Kisi Jamaat Ki Baat’en Maano Ge To Wo Tumhe Tumhare Imaan Laane Ke Baad Murtad Kafer Banadenge. J.(AAYAT NO 10) (Goya Zahir Hai Ke) Tum Kise Kafer Karsakte Ho ? Bawajood Yeke Tum Par Allah Taala Ki Aayaten Padhi Jaati Hai Aur Tum Me Rasool Allah (S.A.W) Maujood Hai” Jo Shaqs Allah Taala (Ke Deen) Ko Mazboot Thaam Le To Bilashuba Ise Raah e Raast Dikhadi Gayi.
ABOUT US:
Title: Lantanalu Pare 04 Ruku NO 1 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.