Para 1 Ruku 14 | Surah Al Baqarah Ruku 14 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Para 1 Ruku 14 | Surah Al Baqarah Ruku 14 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {01}.
RUKU NO:- {14}
AAYAT’EN:- {9}.
A(AAYAT NO 1) Yahood Kehte Hai Ke Nasraani Haq Par Hai Aur Nasraani Kehte Hai Ke Yahoodi Haq Par Nahi Haanlake Ye Sab Log Tauraat Padhte Hai Is’si Tarha Inhi Jaisi Baat Be Ilm Bhi Kehte Hai_ Qhayamat Ke Din Allah Inke Is Is Iqtelaaf Ka Faisla Inke Darmiyaan Kar Dega. B(AAYAT NO2) Is Shaqs Se Badh Kar Zaalim Kon Hai Jo Allah Taala Ki Masjid’o Me Allah Taala Ke Zikr Kiye Jaane Ko Roke aur Inki Barbaadi Ki Koshish Kare Aise Logao Ko Khof Khaate Hue Hi Is Me Jaaaana Chahiye Inke Liye Duniya Me Bi Ruswayi Hai Aur Aaqirat Me Bi Bada azaab Hai.
C(AAYAT NO 3) Aur Mashrik Aur Maghrib Ka Maalik Allah Hi Hai_ Tum Jidhar Bhi Muh Karo Udhar Hi allah Ka Muh Hai Allah Taala kushaadgi Aur Wasaat Wala Aur Bade Ilm Waala Hai. D(AAYAT NO 4) Ye Kehte Hai Ke Allah Ki Awlaad Hai ( Nahi Balke) wo Paak Hai Zameen Wo Aasman Ki Tamaam Maqlooq Iski Mikiyat Me Hai Aur Har Ek Is Ka Farma’bardaar Hai.
E (AAYAT NO5) Wo Zameen Aur Aasman Ka Ibtedaa Paida Karne Waala Hai’ Wo Jis Kaam Ko Karna Chahe Keh Deta Hai Ke Hoja’ Bas Wo Wahi Hojata Hai.
F(AAYAT No 6) Is Tarha Be Ilm Logao Ne Bhi Kaha Ke Khud Allah Taala Humse Baate Kyu Nahi Karta’ Ya Hamare Pass koi Nishaani Kyu Nahi Aayi? Is Tarha Aisi Hi Baat Inke Pehlao Ne Bhi Kahi Thi’ UNke Aur Inke Dil Yeksa Hogaye Humne To Yaqeen Walao Ke Liye Nishaniya Khol Kar Bayan Kardi. G(AAYAT NO 7) Hum Aapko Haq Se Saat Khshkhabri Dene Wala Aur Dara Ne Wala Bana Kar Bhrja Hai Aur Jahannum’o Ke Bare Me Aap Se Pursish Naji Hogi.
H(AAYAT NO 8) Aapse Yahood Wo Nasara Har Giz Raazi Nahi Honge Jab Tak Ke Aap Inke Mazhab Ke Taabe Na Banjaye’ aap Kehdijiye Ke Allah Ki Hidayat Hi Hidayat Hai’ Aur Agar Aapne Bawajood apne Pass Ilm Aajane ke’ Phir Inki Khuwahisho Ki Perwi Ki TO Allah Ke Pass Aap Ka Na To Koi Wali Hoga Aur Na Madatgaar. I(AAYAT NO9) Jinhe Humne Kitaab Di Hai Aur Wo Is’se Padhne Ke Haq Ke Saat Padhte Hai’ Wo Is Kitaab Par Bhi Imaan Rakhte Hai Aur Jo Is Ke Saat Kufr Kare Wo Nuqsaan Waala Hai.
ABOUT US:
Title: Surah Al Baqarah Ruku 14 With Urdu-Hindi Tarjuma And Transletion.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.