Sayaqool Para 02 Ruku 01 | Surah Baqarah Ruku 17 With Urdu Hindi Tarjuma & Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Sayaqool Para 02 Ruku 01 | Surah Baqarah Ruku 17 With Urdu Hindi Tarjuma & Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {02}.
RUKU NO:- {01}.
AAYAT’EN:- {02}.
A(AAYAT NO 1) Ankhareeb Nadaan Log Kahenge Ke Jis Qible Par Ye The (Musalman) Is’se Inhe Kis Cheez Ne Hataya? Aap Kehdijiye Ke Mashriq Wo Maghrib Ka Malik Allah Taala Hi Hai Wo Jise Chahe Seedhi Raah Ki Hidayat Karde.
B(AAYAT NO2) Humne Is Tarha Tumhe Aadil Ummat Banaya Hai Taake Tum Logao Par Gawah Ho Jao Aur rasool (S.A.W) Tum Pa Gawah Hojaye’ Jis Qible Par Tum Pehle Se The Ise Humne Sirf Isliye Muqarrar Kiya Tha Ke Hum Jaanle Ke Rasool Ka Saccha Tabedaar Kon Hai Aur Kon Hai Jo Apni Aediyao Ke Bal Palat Jata Hai’ Goya Kaam Mushkil Hai’ Magar Jinhe Allah Ne Hidayat Di hai (in Par Koi Mushkil Nahi) Allah Taala Tumhare Imaan Zaya Nahi Karega Allah Taala Logao Ke Saat Shaffaqat Aur Meherbani Karne Wala Hai.
C(AAYAT NO3) Hum aapke Chahre Ko Baar Baar Aasman ki Taraf Uthte Hue Dekh Rahe hai’ Ab Hum Aapko Is Qible Ke Janib Mutawajja Karenge Jisse aap Khush hojaye’ Aap Apna Muh Masjid e Haraam Ki Taraf Pherlen aur aap Jahan Kahi Ho Apna Muh Istaraf Phera Karen Ehle Kitaab Ko Is Baat Ko Allah Ki Taraf Se Bar’haq Hone Katayi(Pakka) Ilm Hai Aur Allah Taala In Aamal Se Ghafil Nahi Jo Ye karte Hai.
D(AAYAT NO4) Aur Aap agar Chey Ehle Kitaab Ko Tamaam Daleel’en Dedi Lekin Wo Aapke Qible Ki Pairwi Nahi Karenge aur Na Aap Inke qible Ko Manne waale Hai’ Aur Na Ye Aapas Me Ek Dusre Ke Qible Ko Manne Wale Hai’ Aur Agar aap Bawajood Yeke Aap Ke Pass Ilm Aachuka Phir Bhi Inki Khuhishao Ke Peeche Lag’jaye To Bil’yaqeen Aap Bhi Zalimo Me Se Hojainge.
E(AAYAT NO 5) Jinhe Humne Kitaab di Hai (Rasool Ko) Wo To Ise (yahood Wo Nasara) Aaisa Pehchante Hai Jaise Koi Apne Bacchao Ko Pehchane’ Inki Ek Jamaat Haq ko Pehchaan Kar Bhi cHupati Hai. F(AAYAT NO 6) Aap Ki Rab Ki Taraf Se Ye Sarasar Haq Hai’ Qabardar Aap Shak Karne Walao Me se Na Hona.
ABOUT US:
Title: Surah Baqarah Ruku 17 With Urdu Hindi Tarjuma & Transletion.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.