Sayaqool Para 2 Ruku 6 | Surah Baqarah Ruku 22 With Urdu-Hindi Tarjuma & Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Sayaqool Para 2 Ruku 6 | Surah Baqarah Ruku 22 With Urdu-Hindi Tarjuma & Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {02}.
RUKU NO:- {06}.
AAYAT’EN:- {06}.
A.(AAYAT NO 1) Saari Acchayi Mashrik Wo Maghrib Ki Taraf Muh karne Me Hi Nahi Balke Haqiqatan accha Wo Shaqs Hai Jo Allah Taala par’ Qayamat Ke Din Par’ Farishtao Par ‘ Kitab Allah Par Aur Navbiyao Par Imaan Rakhne Wala Ho’ Jo Maal Se Mohabbat Karne Ke Bawajood Qarabat Darao ‘ Yatimao’ Miskeeno’ Musafiro’ Aur Sawal Karne Walao Ko De’ Ghulamao Ko Azaad Kare ‘ Namaz Ki Pabandi Aur Zakat Ki adaygi Kare’ Jab waada Kare Tab Is’se Pura Kare’ Tangdasti Dukh Dard Aur Ladai Ke Waqt Sabar Kare’ Yahi Sacche Log Hai Aur Yahi Parhezgaar Hai.
B.(AAYAT NO 2) Aaye Imaan walo ! Tum Par Maqtulao Ka Qassas Lena Farz Kiya Gaya Hai’ Azaad Azaad Ke Badle Ghulaam Ghulaam Ke Badle’ Aurat Aurat Ke Badle’ Haan Jis Kisi Ko Iske Bhai Ki Taraf Se Kuch Maafi De Di Jaye Ise Bhalayi Ki Ittebaa Karni Chahiye Aur Aasani Ke Saath Det Adaa Karni Chahiye’ Tumhare Rab Ki Taraf Se Ye Taqfeef Hai Aur Rehmat Hai Iske Baad Bhi Jo Sarkashi Kare Ise Dard Naak azaab Hoga. C. (AAYAT NO3) Aqalmando ! Qasas Me Tumhare Liye Zindagi Hai Is Baa’as Tum (Qatal e Na Haq Se) Ruko Ge.
D.(AAYAT NO4) Tum Par Farz Kardiya Gaya Hai Ke Jab Tum Me se Koi MarneLage Aur Maal Chord Jata Ho To Apne Maa Baap Aur Qarabat Darao Ke Liye Acchayi Ke Saat Wasiyat Karjaye Parheez garao Par Ye Haq Aur Sabit Hai.
E.(AAYAT NO 5) Ab Jo Shaqs Ise Sunne Ke Baad Badal De Is Ka Gunah Badalne Wale Par Hi Hoga’ Waqayi Allah Taala Sunne Wala Aur Janne Waala Hai. F.(AAYAT NO 6) Haan Jo Shaqs Wasiyat Karne Wale Ki Jaanib Daari Ya Gunah Ki Wasiyat Kardene Se Dare Pas Wo Inme Aapas Me Islah Kara De To Is Par Gunah Nahi’ Allah Taala Baqashne Wala Meherbaan Hai.
ABOUT US:
TitleSayaqool Para 2 Ruku 6 | Surah Baqarah Ruku 22 With Urdu-Hindi Tarjuma & Translation
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.