Surah Muzammil With Urdu Translation (Roman English).

kahoallahekhai
5 Min Read
Surah Muzammil With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

Surah Muzammil With Urdu Translation.

سورة المزمل

Surah Muzammil With Urdu Translation.

Surah Muzammil~ Makki Hai ~ Aur Isme Teen Ruku ~ 96 Aayate Hai.

PARA:- {29}.
RUKU NO:- {13-14}.
AAYAT’EN:- {20}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

A.(AAYAT NO 1) Aaye (Mohammed) Jo Kapde Me Lipat Rahe Ho. B.(AAYAT NO 2) Raat Ko Qiyaam Kiya Karo Magar Thodi Si Raat. C.(AAYAT NO 3) Yani Nifs Raat Ya Isse Kuch Kam. D.(AAYAT NO4) Ya Kuch Ziyada Aur Quran Ko Thehr Thehr Kar Padha Karo. E.(AAYAT NO 5) Hum Unqareeb Tum Par Ek Bhari Farman Nazil Karenge.

F.(AAYAT NO 6) KUch Shak Nahi Ke Raat Ka Uthna (Nafs Bahimi Ko) Saqt Pamaal Karta Hai Aur Us Waqt Zikar bhi Durust Hota Hai. G.(AAYAT NO 7) Din Ke Waqt To Tumhe Aur Bohat Se Shughul (Kaam) Hote Hai. H(AAYAT NO 8) To Apne Parwardigaar Ke Naam Ka zikar Kiya Karo.

I.(AAYAT NO 9) (Wohi) Mashriq Aur Maghrib Ka Maalik (Hai Aur) Aur Uske Siwa Koi Mabod Nahi To Usi Ko Apna Kaarsaaz Banao.

J.(AAYAT NO 10) Aur Jo Jo (Dil Azaar) Baaten Ye Log Kehte Hai Unko Sehte Raho Aur Acche Tareeqe Se Unse Kinarakash Raho. K.(AAYAT NO11) Aur Mujhe Jhutlane Walo Se Jo Daulat’mand Hai Samaj Lenr Do Aur Unko Thodi Si Mohlat De Do. L.(AAYAT No 12) Kuch Shak Nahi Ke Hamare Pass Bediyan Hai Aur Bhadakti Aag Hai.

M.(AAYAT NO 13) Aur Guloogeer’ Khaana Hai Aur Dard Dene Wala Azaab Hai. N.(AAYAT NO14) Jis Din Zameen Aur Pahad Kaapne Lage Aur Pahad ( Aise Bhurbure Goya ) Ret Ke Teele Hojaye. O.(AAYAT NO 15) (Aaye-ehle-Makkah) Jistarha Humne Firon Ke Pass (Musa Ko) Paighambar (Bana Kar) Bheja Tha (Usi Tarha) Tumhare Pass Bhi (Mohammed) Rasool (Bana Kar) Bheje (Gaye) Hai Jo Tumhare Muqable Me Gawah Rahenge.

P.(AAYAT NO16) So Firon Ne ( Hamare ) Paighambar Ka Kaha Na Mana To Humne Use Bade Wabal Me Pakad Liya. Q.(AAYAT NO 17) Agar Tum bhi (In Paighambar Ko ) Na Manoge To Us Din Se Kyukar Bachoge Jo Bacchao Ko Budha Kardega. R.(AAYAT NO 18) (Aur) JIsse Aasman Phat Jayega Ye Uska (waada) Poora Hokar Rahega.

S.(AAYAT NO 19) Yeh (quran) To Nasihat Hai So Jo Chahe Apne Parwardigaar Tak (Pohanchne Ka) Raasta Eqtiyar Karle.

T.(AAYAT NO 20) Tumhara Parwardigaar Khoob Jaanta Hai Ke Tum Aur Tumhare Saath Ke Log (Kabhi) Do Tihayi Raat Ke Kareeb Aur (Kabhi) Aadhi Raat Aur (Kabhi) Tihayi Raat (Ko) Qiyaam Kiya Karte Ho’ Aur Allah To Raat Aur Din Ka Andaza Rakhta Hai’ Usne Maloom Kiya Ke Tum Usko Nibah Na Sakoge To Usne Tum Par Meherbani Ki Pas Jitna Aasani Se Ho Sake (Utna) Quran Padhliya Karo Usne Jaana Ke Tumme Ba’az Bhi Hote Hai Aur Ba’az Allah Ke Fazal (Yani Mash) Ki Talash Me Mulk Me Safar Karte Hai Aur Ba’az Allah Ki Raah Me Ladhte Hai’ To Jitna Aasani Se Hosake Utna Padhliya Karo Aur Namaaz Padhte Raho Aur Zakaat Ada Karte Raho Aur Allah Ko Nek (Aur Khuloos Niyyat Se) Qarz Dete Raho’ Aur Jo Amal-e-Nek Tum Apne Liye Aage Bhejoge Usko Allah Ke Yaha Behtar Aur Sile Me Buzrug Tar Paoge Aur Allah Se Baqshish Maangte Raho Beshak Allah Taala Bakhasne Waala Meherbaan Hai.

ABOUT US:

TitleSurah Waqiah With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply