Surah Rahman With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

kahoallahekhai@gmail.com
10 Min Read

Surah Rahman With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

الرحمان

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE

Surah Rahman With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

SURAH RAHMAN MADANI HAI AUR ISME 78 AAYATE HAI AUR 3 RUKU HAI.

PARA:- {27}.

RUKU NO:- {11}.

AAYAT’EN:- {78}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

(AAYAT NO1) (Allah Jo) Nihayat Meherbaan. (AAYAT NO 2) Usi Ne Quran Ki Taleem Farmayi. (AAYAT NO 3) Usi Ne Insaan Ko Paida Kiya. (AAYAT NO 4) Usi Ne Isko Bolna Sikhaya. (AAYAT NO 5) Suraj Aur Chand Ek Hisaab-e-Muqarrar Se Chal Rahe Hai.

(AAYAT NO 6) Aur Butiyan Aur Daraqt Sajde Karrahe Hai. (AAYAT NO 7) Aur Usi Ne Aasman Ko Buland Kiya Aur Tarazu Qayam Kiya. (AAYAT NO 8) Ke Tarazu (Se Tolne) Me Had Se Tajawuz Na Karo. (AAYAT NO 9) Aur Insaaf Ke Saat Theek Tolo, Aur Tol (me) Kam Mat Karo.

(AAYAT NO 10) Aur Usi Ne Khalqat Ke Liye Zameen Bichayi. (AAYAT NO 11) Isme Mewe Aur Khajoor Ke Daraqt Hai Jinke Ko’shao Par Ghilaf (Chade) Hote Hai. (AAYAT NO 12) Aur Anaaj Jiske Saath Bhus Hota Hai Aur Khushbodar Phool.

(AAYAT NO13) To (Aaye Giroh Jinn Wa Ins) Tum Apne Parwardigar Ki Kaun Kaunsi Nematao Ko Jhutlao Ge ?.

(AAYAT NO14) Usi Ne Insan Ko Theekre Ki Tarha Khankhanati Mitthi Se Banaya. (AAYAT NO 15) Aur Jinnat Ko Aag Ke Shole Se Paida Kiya.(AAYAT NO 16) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 17) Wohi Dono Mashriqon Aur Dono Maghribon Ka Maalik Hai. (AAYAT NO 18) To Tum Apne Parwardigar Ki Kaun Kaun Si Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 19) Usine Do Dariya Rawana Kiye Jo Aapas Me Milte Hai. (AAYAT NO 20) Dono Me Ek Aad Hai Ke (Isse) Tajawuz Nahi Karsakte. (AAYAT NO 21) To Tum Apne Parwardigar Ki Kaun Kaun Si Nemat Ko Jhutlaoge?. (AAYAT NO 22) Dono Dariyao Se Mothi Aur Monge Nikalte Hai.

(AAYAT NO 23) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 24) Aur Jahaz Bhi Usi Ke Hai Jo Darya Me Pahadao Ki Tarha Unche Khade Hote Hai. (AAYAT NO 25) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO26) Jo (Maqhlooq) Zameen Par Hai Sabko Fana Hona Hai. (AAYAT NO 27) Aur Tumhare Parwardigaar Hi Ki Zaat (Babarkat) Jo Sahib-e-Jalaal Wa Azmat Hai Baaqi Rahegi. (AAYAT NO 28) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 29) Aasman Aur ZameenMe Jitne Log Hai Sab Usi Se Maangte Hai Woh Har Roz Kaam Me Masroof Rehta Hai. (AAYAT NO 30) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 31) Aaye Dono Jamato! Hum Anqareeb Tumhari Taraf Mutawajjoh Hote Hai.

(AAYAT NO 32) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 33) Aaye Giroh Jinn Wa Ins Agar Tumhe Qhudrat Ho Ke Aasman Aur Zameen Ke Kinaro Se Nikal sake To Nikal jao Aur Zor Ke Siwa To Tum Nikal Sakte Nhi.

(AAYAT NO 34) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO35) Tum Par Aag Ke Shole Aur Dhuwa Chord’diya Jayega To Phir Tum Muqabla Na Karsakoge. (AAYAT NO 36) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 37) Phir Jab Aasman Phat Kar Tel Ki Tilchhat Ki Tarha Gulabi Hojayega (To Woh Kaisa Holnak Din Hoga). (AAYAT NO 38) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 39) Us Roz Na To Kisi Insaan Se Uske Gunahao Ke Baare Me Pursish Ki Jayegi Aur Na Kisi Jin Se.

(AAYAT NO 40) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 41) Gunahgaar Apne Chehre Hi Se Pehchan Liye Jainge To Peshani Ke Balao Aur Paon Se Pakad Liye Jainge. (AAYAT NO 42) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO43) Yahi Wo Jahannam Hai Jise Gunahgar Log Jhutlate The. (AAYAT NO 44) Woh Dozaq aur Khaulte Hue Garam Paani Ke Darmiyan Ghumte Phirenge. (AAYAT NO 45) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 46) Aur Jo Shaks Apne Parwardigar Ke Samne Khade Hone Se Dara’ Uske Liye To Bagh Hai. (AAYAT NO 47) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 48) In Dono Me Bohat Se Shaakhe (Yani Qism Qism Ke Mewo Ke Daraqt Hai).

(AAYAT NO 49) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 50) Inme Do Chahme Behrahe Hai. (AAYAT NO 51) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 52) Inme Sab Mewe Do Do Qism Ke Hai.

(AAYAT NO 53) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 54) (Ahle-Jannat) Aaise Bichhono Par Jinke Astar Atlas Ke Hai’ Takiye Lagaye Hue Honge’ Aur Dono Bagho Ke Mewe Qareeb (Jhuke Hue) Hai.

(AAYAT NO 55) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 56) Inme Neechi Nigah Waali Aurte Hai Jinko Ahle-Jannat Se Pehle Na Kisi Insaan Ne Haath Lagaya Aur Na Kisi Jinn Ne. (AAYAT NO 57) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 58) Goya Wo Yakoot Aur Marjaan Hai. (AAYAT NO 59) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaun si Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 60) Neki Ka Badla Neki Ke Siwa Kuch Nahi Hai?. (AAYAT NO 61) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 62) Aur In Bhagao Ke Alawa Do Bagh Aur Hai.

(AAYAT NO 63) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 64) Dono Khoob Gehre Sabz. (AAYAT NO 65) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 66) Inme Do Chashme Ubal Rahe Hai. (AAYAT NO 67) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 68) Inme Mewe Aur Khajuren Aur Anaar Hai. (AAYAT NO 69) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 70) Inme Nek Seerat (Aur) Khoobsurat Aurte Hai. (AAYAT NO 71) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 72) (Woh ) Hoor’e (Hai) Jo Khemo Me Mastur (Hai). (AAYAT NO 73) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?.

(AAYAT NO 74) Unko ( Ahle-Jannat Se ) Pehle Na Kisi Insaan Ne Haath Lagaya Na Kisi Jinn Ne. (AAYAT NO 75) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 76) Sabz Ghaleeno AUR Nafees Masnadao Par Takiye Lagaye Baithe Honge.

(AAYAT NO 77) To Tum Apne Parwardigaar Ki Kaun Kaunsi Nemat Ko Jhutlaoge ?. (AAYAT NO 78) (Aaye Mohammed) Tumhara Parwardigar Jo Sahib-e-Jalaal Wa Azmat Hai’ Uska Naam Bada Babarkat Hai.

ABOUT US:

Title: Surah Rahman With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply