Surah Waqiah With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

kahoallahekhai@gmail.com
10 Min Read

Surah Waqiah With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

 سورة الواقعة

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE

Surah Waqiah With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

Surah Waqiah ~ Makki Hai ~ Aur Isme Teen Ruku ~ 96 Aayate Hai.

PARA:- {27}.

RUKU NO:- {14}.

AAYAT’EN:- {2}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

(AAYAT NO 1) Jab Waqe Hone Waali Waqe Hojaye. (AAYAT NO 2) Uske Waqe Hone Me Koi Jhoot Nahi. (AAYAT NO 3) Kisi Ko Past Kare Kisi Ko Buland. (AAYAT NO 4) Jab Zameen Bhunchaal Se Larazne Lage. (AAYAT NO 5) Aur Pahaad Toot Kar Reza Reza Hojainge.

(AAYAT NO 6) Phir (Pahaad) Ghubaar Hokar Udhne Lagenge. (AAYAT NO 7) Aur Tum Log Teen Qism (Jamaat) Ho Jaoge. (AAYAT NO 8) To Dahine Haath Waale (SubhanAllah) Dahine Haath Wale Kya (Hi Chain) Me Hai. (AAYAT NO 9) Aur Bayen Haath Waale (Afsos) Bayen Haath Waale Kya ( Gireftaar E Azaab ) Hai.

(AAYAT NO 10) Aur Jo Aage Badhne Waale Hai (Unka Kya Kehna) Wo aage Hi Badhne waale Hai. (AAYAT NO 11) Wo Hi (Allah ) Ke Muqarrab Hai. (AAYAT NO 12) Nemat’o Ki Bahishto (Jannato) Me. (AAYAT NO 13) Woh Bohat Se To Agle Logao Me se Honge.

(AAYAT NO 14) Aur Thode Se Pichlao Me Se. (AAYAT NO 15) (Laal Wo Yakut Waqhaira Se) Jade Hue Takhtao Par. (AAYAT NO 16) Aamne Samne Takiye Lagaye Hue (Honge).

(AAYAT NO 17) Naujaawaan Khidmat Guzaar Jo Hamesha (Ek Hi Haalat Me ) Rahenge Unke Aas Pass Rahenge.

(AAYAT NO 18) Yani Abkhor Aur Aaftaab Aur SAaf Sharaab Ke Gilaas Le Kar. (AAYAT NO 19) Isse Na To Sar Me Dard Hoga Aur Na Unki Aqaalen Zayil Hongi. (AAYAT NO 20) Aur Mew Jis Tarha Ke Unko Pasand Ho. (AAYAT NO 21) Aur Parindao Ka Gosht Jis Qisam Ka Unka Jee Chahe.

(AAYAT NO 22) Aur Badi Badi Aankhao waali Hooren. (AAYAT NO 23) Jaise (Hifazat Se) Taye Kiye Hue (Abdaar) Mothi. (AAYAT NO 24) Ye Unke Aamaal Ka Badla Hai Jo Wo Karte The. (AAYAT NO 25) Waha Na Behuda Baat Sunenge Aur Na Gaali Galoch.

(AAYAT NO 26) Haan Unka Kalaam Salam Salaam (Hoga). (AAYAT NO 27) Aur Dahine Haath Waale (SubhanAllah) Dahine Haath Waale Kya (Hi Aaish Me)Hai. (AAYAT NO 28) (Yani) Bekhaar Ki Beriyon. (AAYAT NO 29) Aur Teh Ba Teh Kelon. (AAYAT NO 30) Aur Lambe Lambe Saaye.

(AAYAT NO 31) Aur Paani Ke Jharne. (AAYAT NO 32) Aur Mewe Kaseera (Ke Baghao) Me. (AAYAT NO 33) Jo Na Khabhi Khatam Ho Aur Na Ushe Koi Roke. (AAYAT NO 34) Aur Unche Unche farshao Me.

(AAYAT NO 35) Humne In (Hoor’o) Ko Paida Kiya.

(AAYAT NO 36) To Unko Kuwariya Banaya. (AAYAT NO 37) (Aur Shoharon Ki) Piyariyan Aur Humnawaae. (AAYAT NO 38) (Yani) Dahine Haath Waalo Ke Liye. (AAYAT NO 39) (Yeh) Bohat Se To Agle Logao Me Se Hai. (AAYAT NO 40) Aur Bohat Se Pichlao Me Se.

(AAYAT NO 41) Aur Bayen Haath Waale (Afsos) Bayen Haath Waale Kya (Hi Azaab Me) Hai. (AAYAT NO 42) (Yani Dozakh Ki) Lapat Aur Khaulte Hue Paani Me. (AAYAT NO 43) Aur Siyah Dhuwe Ke Saaye Me. (AAYAT NO 44) (jo) Na Thanda (Hai) Na Khushnuma.

(AAYAT NO 45) Ye Log Isse Pehle Aise Naeem Me Pade Hue The. (AAYAT NO 46) Aur Gunah-E-Azeem Par ade Hue They. (AAYAT NO 47) Aur Kaha Karte They Ke Bhala Jab Hum Mar Gaye Aur Mitthi Hogaye’ Aur Haddiya (Hi Haddiyan Rehgaye) To Kya Phir Hume Uthna Hoga.

(AAYAT NO 48) Aur Kya Hamare Baap Daada Ko Bhi? (AAYAT NO 49) Keh’do Ke Beshak Pehle Aur Pichle. (AAYAT NO 50) (SAB) Ek Roz Muqarrar Ke waqt Par Jama Kiye Jainge. (AAYAT NO 51) Phir Tum Aaye Jhutlane Waale Gumraho !.

(AAYAT NO 52) (Aur) Zaqoom Ka Daraqt Khaoge.

(AAYAT NO 53) Aur Usi Se Pet Bharoge. (AAYAT NO 54) Aur Uspar Khaulta Hua Paani Piyoge. (AAYAT NO 55) Aur Piyoge Bhi To Istarha Jaise Piyase Ount Peete Hai. (AAYAT NO 56) Jaza Ke Din Ye Unki Ziyafat Hogi. (AAYAT NO 57) Humne Tum Ko (Pehli Baar Bhi To) Paida Kiya Hai To Tum ( Dubara Uthne Ko) Kyu Sach Nahi Samajte ?.

(AAYAT NO 58) Dekho To Ke Jis (Nutfe) Ko Tum (Aurtao Ke Rehem Me) Daalte Ho. (AAYAT NO 59) Kya Tum Usse (Insaan ) Ko Banaate Ho Ya Hum Banate Hai ?. (AAYAT NO 60) Humne Tumme Marna Tehradiya Hai Aur Hum Is Baat Se (Ajiz) Nahi.

(AAYAT NO 61) Ke Tumhari Tarha Ke Aur Log Tumhari Jagah Le Aaye Aur Tumko Aaise Jahan Me Jisko Tum Nahi Jaante (Waha) Paida Karde. (AAYAT NO 62) Aur Tumne Pehli Paida’ish To Jaan Hi Li Hai’ Phir Tum Sonchte Kyu Nahi ?. (AAYAT NO 63) Bhala Dekho To Jo Kuch Tum Bo’te Ho.

(AAYAT NO 64) To Kya Tum Use Ugaate Ho Ya Hum Ugaate Hai ?. (AAYAT NO 65) Agar Hum Chahe To Use Choora Choora Karde Aur Tum Baate Banate Rehjao. (AAYAT NO 66) (Ke Haye) Hum To Muft Taawan Me Phans Gaye.

(AAYAT NO 67) Bhala Hum Hai Hi Benaseeb.

(AAYAT NO 68) Bhala Dekho To Ke Jo Paani Tum Peete Ho. (AAYAT NO 69) Kya Tumne Isko Badal Se Naazil Kiya Hai Ya Hum Naazil Karte Hai ?. ((AAYAT NO 70) Agar Hum Chahe To Hum Ise Khara Karde Phir Tum Shukar Kyu Nahi Karte ?.

(AAYAT NO 71) Bhala Dekho To Jo Aag Tum Daraqt Se Nikaalte Ho. (AAYAT NO 72) Kya Tumne Uske Daraqt Ko Paida Kiya Hai Ya Hum Paida Karte Hai. (AAYAT NO 73) Humne Use Yaad Dilaane Aur Musafiro Ke Baratne Ko Banaya Hai.

(AAYAT NO 74) To Tum Apne Parwardigaar-Buzrug Ke Naam Ki Tasbeeh Karo. (AAYAT NO 75) Hume Taaro Ki Manzilo Ki Khasam. (AAYAT NO 76) Aur Agar Tum Samjho To Ye Badi Qasam Hai. (AAYAT NO 77) Ke Ye Bade Rutbe Ka Qur’an Hai.

(AAYAT NO 78) (Jo) Kitaab-E-Mehfooz Me (Likha Hua Hai). (AAYAT NO 79) Isko Wahi Haath Lagate Hai Jo Paak Hai. (AAYAT NO 80) Parwardigaar-e-Aalam Ki Taraf se Utaara Gaya Hai. (AAYAT NO 81) Kya Tum Is Kalam Se Inkaar Karte Ho.

(AAYAT NO 82) Aur Apna Wazeefa Ye Banate Ho Ke (Ise) Jhutklate Ho. (AAYAT NO 83) Bhala Jab Rooh Gale Me Aa Pahonchti Hai. (AAYAT NO 84) Aur Tum Us Waqt (Ki Halat Ko) Dekha Karte Ho.

(AAYAT NO 85) Aur Hum Is ( Marnne Wale) Se Tumse Bhi Ziyada Nazdeeq Hote Hai Lekin Tumko Nazar Nahi aate.

(AAYAT NO 86) Pas Agar Tum Kisi Ke Bas Me Nahi Ho. (AAYAT NO 87) To Agar Sacche Ho To Rooh Ko Pher Kyu Nahi Lete. (AAYAT NO 88) Phir Agar Woh (Allah Ke) Muqarrabon Me Se Hai. (AAYAT NO 89) To (Uske Liye) Araam Aur Khushbodaar Phool Aur Nenat Ke Baagh Hai.

(AAYAT NO 90) Aur Agar Wo Dayen Haath Walao Me Se Hai. (AAYAT NO 91) To (Kaha Jayega Ke) Tujh Par Dahine Haath Waalo Ki Taraf Se salaam. (AAYAT NO 92) Aur Agar wo JhutLaane waale Gumraho Me Se Hai. (AAYAT NO 93) To ( Uske Liye) Khaulte Paani Ki Ziyafat Hai.

(AAYAT NO 94) Aur Jahannum Me dakhil Kiya Jaana (Hai). (AAYAT NO 95) Yeh (Dakhil Kiya Jaana Yaqinan Yani ) Haq Ul Yaqeen Hai. (AAYAT NO 96) To Tum Apne Parwardigaar-e-Buzrug Ke Naam Ki Tasbeeh Karte raho.

ABOUT US:

TitleSurah Waqiah With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply