Surah Yaseen With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

kahoallahekhai@gmail.com
15 Min Read

Surah Yaseen With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

سورة يس

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Surah Yaseen With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

SURAH YASEEN MAKKI HAI AUR ISME – 83 AAYATEN AUR 5 RUKU HAI.

PARA:- {22 , 23}.

RUKU NO:- {18}.

AAYAT’EN:- {83}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

A.(AAYAT NO 1) Ya Seen. B.(AAYAT NO 2) Qasam Hai Quran Ki Jo Hikmat Se Bhara Hua Hai. C.(AAYAT NO 3) (Aaye Mohammed) Beshak Aap Paighambaro Me Se Ho. D.(AAYAT NO 4) Seedhe Raaste Par.

E.(AAYAT NO 5) Yeh (Allah) Ghalib (Aur) Meherban Ne Nazil Kiya Hai. F.(AAYAT NO 6) Taake Tum Unlogao Ko Jinke Baap Dada Ko Mutanabbah (Mutawajjah) Nahi Kiya Gaya Tha (Mutanabbah) (Mutawajjah) Kardo Woh Ghaflat Me Padhe Hue Hai.

G.(AAYAT NO 7) Unme Se Aksar Par (Allah Ki) Baat Puri Ho Chuki Hai So Wo Imaan Nahi Layenge. H.(AAYAT NO 8) Humne Unki Gardano Me Tauq Daal Rakhe Hai Aur Wo Thudiyao Tak (Phanse Hue) Hai To Unke Sar Ulal (Machal) Rahe Hai.

I.(AAYAT NO 9) Aur Humne Unke Aage Bhi Deewar Bana Di Aur Unke Peeche Bhi Phir Unpar Parda Daal Diya To Ye Dekh Nahi Sakte. J.(AAYAT NO 10) Aur Tum Unko Nasihat Karo Ya Na Karo Unke Liye barabar Hai Wo Imaan Nahi Laaenge.

K.(AAYAT NO 11) Tum To Sirf Us Shaqs Ko Nasihat Kar Sakte Ho Jo Nasihat Ki Pairwi Kare Aur Allah Se Ghaybana Dare So USko Maghfirat Aur Bade Sawab Ki Basharat Suna Do. l.(AAYAT NO 12) Beshak Hum Murdao Ko Zinda Karenge Aur Jo Kuch Wo Aage Bhej Chuke Aur (Jo) Jo Unke Nishaan Piche Rehgaye Hum Unko Qalamband Karlete Hai. Aur Har Cheez ko Humne Kitab-e-Raushan ( Yane Lohe Mehfooz Me Likh Rakha Hai.

M.(AAYAT NO 13) Aur Inse Gaon Walao Ka Qhissa Bayan Karo Jab Unke Pass Paighambar Aaye.

N.(AAYAT NO 14) (Yani) Jab Humne Unki Taraf Do (paighambar) Bheje To Inhu Ne Unko Jhutlaya Phir Humne Teesre Se Taqviyat Di. To Inhu Ne Kaha Hum Tumhari Taraf Paighambar Ho Kar aaye Hai.

O.(AAYAT NO 15) Wo Bole Ke Hum (Aur Kuch) Nahi Magar Hamari Tarha Ke aadmi (ho) Aur Allah Ne Koi Cheez Bhi Naazil Nahi Ki Tum Mehez Jhoot Bolte Ho. P.(AAYAT NO 16) InhuNe Kaha Ke Hamara Parwardigaar Jaanta Hai Ke Hum Tumhari Taraf (Paigham De Kar) Bheje Gaye Hai.

Q.(AAYAT NO 17) Aur Hamare Zimme To Saaf Saaf Pohncha Dena Hai Aur Bas.

R.(AAYAT NO 18) Wo Bole Ke Hum (to) Tumko Na Mubarak Dekhte Hai. Agar Tum Baaz Na Aaoge To Hum Tumhe Sangsaar Kardenge Aur Tumko Humse Dukh Dene Waala Azaab Pohnchega

R.(AAYAT NO 19) Unhune (paighambaro Ne) Kaha Ke Tumhari Nahusat Tumhare Saat Hai, Kiya Isliye Ke Tumko Nasihat Ki Gayi Balke Tum Aise Log Ho Jo Had Se Tajawuz Kar Gaye Ho. S.(AAYAT NO 20) Aur Shaher Ke Parle Kinare Se ek Aadmi Daudta Hua Aaya Kehne Laga Ke Aaye Meri Qaum Paighambarao Ke Piche Chalo

T.(AAYAT NO 21) Aiso Ke Jo Tum Se Sila Nahi Maangte Aur Wo Seedhe Raaste Par Hai. U.(AAYAT NO 22) Aur Mujhe Kiya Hai Ke Mai Uski Parastish Karu Jisne Mujhe Paida Kiya Aur Usi Ki Taraf Tumko Lautkar Jaana Hai. V.(AAAYAT NO 23) Kya Mai Inko Chordkar Aurao Ko Mabood Banaun ? Agar Allah Mere Haq Me Nuqsan Karna Chahe To Inki Sifarish Mujhe Kuch Bhi Faida Na De Sake. Aur Na Wo Mujhe Churda Sake.

W. (AAYAT NO 24) Tab To Mai Sarih Gumrahi Me Mubtala Hogaya. x.(AAYAT NO 25) Mai Tumhare Parwardigaar Par Imaan Laaya Hun So Meri Baat Sun Rakho. Y.(AAYAT NO 26) Hukum Hua Ke Bahisht Me Dakhil Hoja. (Wo) Bola Kaash Meri Qaum Ko Khabar Ho.

Z. (AAYAT NO 27) Ke Allah Ne Mujhe Bakhsh Diya Aur Izzat Waalo Me Kiya.

*.(AAYAT NO 28 ) Aur Humne Uske Baad Uski Qaum Par Koi Lashkar Nahi Utaara Aur Na Hum Utaarne waale The. *(AAYAT NO 29) Wo To Sirf Ek Chinghaad Thi (Aatishen) So Wo (Isse) Nagahan Bujh Kar Rehgaye.

1*(AAYAT NO 30) Bando Par Afsos Hai Ke Inke Pass Koi Paighambar Nahi Aata Magar Isse Tamashkur Karte Hai. ;* (AAYAT NO 31) Kiya Unhu Ne Nahi Dekha Ke Humne Unse Pehle Bohat se Logao Ko Halak Kardiya Tha Abb Wo Unki Taraf Lautkar Nahi Aaenge.

* (AAYAT NO 32) Aur Sab Ke Sab Hamare Roo-ba-Roo Hazir Kiye Jainge.

l* (AAYAT NO 33) Aur Ek Nishani Unke Liye Zameen-e-Murda Hai. Ke Humne Isko Zinda Kiya Aur Isme Se Anaaj Ugaya Phir Ye Isme Se Khate Hai. .* (AAYAT NO 34) Aur Usme Khajooron Aur Angoor’o Ke Bagh Paida Kiye Aur Isme Aur Usme Chashme Jaari Kardiye.

‘* (AAYAT NO 35) Taake Ye Unke Phal Khaye’ Aur Unke Haatho Ne To Unko Nahi Banaya. To Phir Kya Ye Shukar Nahi Karte? ;* (AAYAT NO 36) Woh Allah Paak Hai Jisne Zameen Ki Nabataat Ke Aur Khud Unke Aur Jin Chizo Ki Unko Khabar Nahi Sabke Jode Banaye.

:* (AAYAT NO 37) Aur Ek Nishani Unke Liye Raat Hai’ Ke Isme Se Hum Din Ko Khinch Late Hai To Us waqt Un Par Andhera Chajata Hai. .* (AAYAT NO 38) Aur Suraj Apne Muqarrar Raste Par Chalta Rehta Hai, Ye (Allah) Ghalib (Aur) Daana Ka Muqarrar Kiya Hua) Andaza Hai.

:(AAYAT NO 39) Aur Chand Ki Bhi Humne Manzilen Muqarrar Kardi Yaha Tak Ke (Ghatte Ghatte) Khajoor Ki Purani Shaakh Ki Tarah Ho Jaata Hai. *(AAYAT NO 40) Na To Suraj Hi Se Ho Sakta Hai Ke Chaand Ko Ja Pakde Aur Na Raat Hi Din Se Pehle Aa Sakti Hai, Aur Sab Apne Apne Daaire Me Tair Rahe Hai.

*(AAYAT NO 41) Aur Ek Nishani Unke Liye Ye Hai Ke Humne Unki Aulaad Ko Bhari Hui Kashti Me Sawar Kiya. ,*(AAYAT NO 42) Aur Unke Liye Waisi Hi Aur Cheez’e Paida Kien Jin Par Wo Sawar hote Hai. ‘*(AAYAT NO 43) Aur Agar Hum Chahe To Unko Ghark Karde, Phir Na To Unka Koi Faryaadras Raha Aur Na Unko Rehayi Mili.

`*(AAYAT NO 44) Magar Ye Hamari Rehmat Aur Ek Muddat Tak Ke Fayede Hai.

`*(AAYAT NO 45) Aur Jab Unse Kaha Jaata Hai Ke Jo Tumhare Aage Aur Jo Tumhare Piche Hai Usse Daro Taake Tum Par Rehem Kia Jaye. ;*(AAYAT NO 46) Aur Unke Pass Unke Parwardigaar Ki Taraf Se Koi Nishani Nahi Aayi Magar Usse Munh Pher’lete Hai.

-*(AAYAT NO 47) Aur Jab Unse Kaha Jaata Hai Ke Jo Rizq Allah Ne Tumko Diya Hai Isme Se Kharch Karo. To Kafir Momino Se Kehte Hai Ke Bhala Hum Un Logao Ko Khana Khilayen Jinko Agar Allah Taala Chahta To Khud Khila Deta’ Tum to Sarih Ghalti Me Ho.

“*(AAYAT NO 48) Aur Kehte Hai Agar Tum Sach Kehte Ho To Ye Waada Kab (Poora) Hoga ? *.(AAYAT NO 49) Ye To Ek Chinghad Ke Muntazir Hai Jo Unko Is Haal Me Ke Baham Jhagad Rahe Honge (Aur) Aa Pagdegi. ,*(AAYAT NO 50) Phir Na To Wasiyat Kar Sakenge Aur Na Apne Ghar Walo Me Wapas Ja Sakenge.

*(AAYAT NO 51) Aur (Jis Waqt) Soor Phunka Jayega Ye Qhabro Se (Nikal Kar) Apne Parwardigar Ki Taraf Daud Padenge. *(AAYAT NO 52) Kahenge Ke (Aaye Haye) Hume Hamari Khwabgaho Se Kisne (Jaga) Uthaya ? (Kaha Jayega) Ye Wo Hi Hai Jiska Allah Ne Waada Kiya Tha Aur Paighambaro Ne Sach Kaha Tha.

`*(AAYAT NO 53) Sirf Ek Zor Ki Awaaz Ka Hona Hoga Ke Sab Ke Sab Hamare Roo-Ba-Roo Aa Hazir Honge. ,*(AAYAT NO 54) Us Rooz Kisi Shaks Par Kuch Bhi Zulm Nahi Kiya Jayega’ Aur Tumko Badla Waisa Hi Milega Jaisa Tum Kaam Karte The.

(AAYAT NO 55) Ahle-Jannat Us Roz Aaish-o-Nishaat Ke Mashghale Me Honge.

*(AAYAT NO 56) Woh Bhi Aur Unki Biwiya Bhi Saaye Me Takht’O Par Takiye Lagaye Baithe Hunge. ,*(AAYAT NO 57) Waha Unke Liye Mewe Aur Jo Chahenge Maujood Hoga.

/*(AAYAT NO 58) Parwardigaar-e-Meherbaan (Allah) Taala) Ki Taraf Se Salam (Kaha Jayega). |* (AAYAT NO 59) Aur Gunah Gaaro Tum Aaj Alag Hojao. /*(AAYAT NO 60) Aaye Aadam Ki Aulaad Humne Tumse Keh Nahi Diya Tha Ke Shaitaan Ko Na Pujhna, Woh Tumhara Khula Dushman Hai.

*(AAYAT NO 61) Auer Ye Ke Meri Hi Ibaadat Karna Yahi Seedha Raasta Hai. .*(AAYAT NO 62) Aur Usne Tumme Se Bohat Si Khalqat Ko Gumrah Kardiya Tha To Kiya Tum Samjte Nahi The.? ~*(AAYAT NO 63) Yahi Woh Jahannum Hai Jiski Tumhe Khabar Di Jaati Thi.

(AAYAT NO 64) (So) Jo Tum Kufr Karte Rahe Ho Uske Badle Aaj Isme Dakhil Ho Jao.

(AAYAT NO 65) Aaj Hum Unko Muh’o Par Muhar (Taala) Lagadenge Aur Jo Kuch Ye Karte Rahe They Unke Haath Hum Se Bayan Kar Denge Aur Unke Paun (Uski) Gawahi Denge.

;*(AAYAT NO 66) Aur Agar Hum Chahe To Unki Aan khao Ko Mita (Kar Andha Kar) de Phir Ye Raste Ko Daude To Kaha Dekhsakenge. ,*(AAYAT NO 67) Aur Agar Hum Chahe To Unki Jagah Par Unki Surat’e Badal De Phir waha Se Na aage Jasakenge Aur Ne (Peeche) Laut Sakenge.

(AAYAT NO 68) Aur Jisko Hum Badi Umar Dete Hai To Use Khalqat Me Andha Kardete Hai’ To Kya Ye Samjhte Nahi ?. ~(AAYAT NO 69) Aur Humne Un (Paighambar) Ko Shayargoyi Nahi Sikhaye Aur Na wo Unko Shaya Hai, Ye To Mehez Nasihat Aur Saaf Saaf Quran (Puraz-e-Hikmat ) Ha.

^(AAYAT NO 70) Taake Us Shaks Ko Jo Zinda Ho Hidayat Ka Rasta Dikhaye Aur Kafero Par Baat Puri Hojaye. –(AAYAT NO 71) Kya Unhu Ne Nahi Dekha Ke Jo Cheeze humne Apne Haatho se Banayi Inme se Humne Unke Liye Chaarpaye Paida Kardiye aur Ye unke Maalik Hai.

O(AAYAT NO 72) Aur Unko Unke Khaabu Kardiya To Koi To Unme Se Unki Sawari Hai Aur Kisi Ko Ye Khaate Hai. “(AAYAT NO 73) Aur Inme Unke Liye (Aur) Fayde Aur Peene Ki Cheeze Hai’ To Kya Ye shukar Nahi Karte? ,(AAYAT NO 74) Aur Inhu Ne Allah Ke Siwa (Aur) Mabood Banaliye Hai Ke Shayad (unse) Inko Madat Pohnche.

o(AAYAT NO 75) (Magar) Woh Unki Madat Ki (Hargiz) Taqat Nahi Rakhte, Aur Woh Unki Fouj Hokar Hazir Kiye Jainge.

(AAYAT NO 76) To Unki Baate Tumhe Ghamnaak Naa Karde, Ye Jo Kuch Chupate Aur Jo Kuch Zahir Karte Hai Hume Sab Maloom Hai.

|(AAYAT NO 77) Kya Insaan Ne Nahi Dekha Ke Humne Usko Nutfe se Paida Kiya Phir wo Tadaaq Padaaq Jhagadne Laga. \(AAYAT NO 78) Aur Hamare Baare Me Misaale Bayan Karne Laga Aur Apni Paidaish Ko Bhool Gaya, Kehne Laga Ke (Jab) Haaddiya Bosidah Ho Jayengi To unko Kaun Zinda karega?

(AAYAT NO 79) Kehdo Ke Unko Wo Unko Zinda karega Jisne Unko Pehli Baar Paida Kiya Tha Aur Wo Sab Qhisam Ka Paida Karna Jaanta Hai. “(AAYAT NO 80) (Wohi) Jisne Tumhare Liye Sabz Darqt Se Aag Paida Ki Phir Tum Is (Ki Tehniyao Ko Ragad Kar Un ) Se Aag Nikalte Ho.

\(AAYAT NO 81) Bhala Jisne Aasmano Aur Zameen Ko Paida Kia Kya Woh Is Baat Par Qadir Nahi Ke (Unko Phir) Waisa Hi Paida Karde, Kyun Nahi Aur Wo To Bada Paida Karne Waala (Aur) Ilm Waala Hai. *(AAYAT NO 82) Uski Shaan Ye Hai Ke Jab Wo Kisi Cheez Ka Irada Karta Hai To Ise Farma Deta Hai Ke Hoja To wo Hojati Hai.

!(AAYAT NO 83) Woh (Zaat) Paak Hai Jiske Haath Me Har Cheez Ki Badshahat Hai Aur Usi Ki Taraf Tum Ko Laut Kar Jaana Hai.

ABOUT US:

Title:Surah Yaseen With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply