Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 14 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

kahoallahekhai@gmail.com
3 Min Read

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 14 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

آل عمران

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 14 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.

PARA:- {03}.

RUKU NO:- {14}.

AAYAT’EN:- {9}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

A.(AAYAT NO 1) Jab Allah Taala Ne Farmaya Ke Aaye Isa ! Mai Tumhari Duniya Me Rehne Ki Muddat Puri Karke Tumko Apni Taraf Utha Lunga Aur Tujhe Kafer’o Se Paak Karne Waala Hu Aur Tere Taabe’Daaro Ko Kafer’o Ke Upar Ghalib Karne Waala Hu Qayamat Ke Din Tak Phir Tum Sab Ko Lautna Meri Hi Taraf Hai Mai Hi Tumhare Aapas Ke Tamaam Tar Iqtelafaat Ka Faisla Karunga.

B.(AAYAT NO 2) Phir Kafero Ko To Mai Duniya Aur Aaqirat Me Saqt Tar Azaab Dunga Aur Un Ka Koi Madat’Gaar Na Hoga. C.(AAYAT NO 3) Lekin Imaan Waalo Aur Naik Amal Karne Waalo Ko Allah Taala inka Sawaab Pura Pura Dega Aur Allah Taala Zaalimo Se Muhabbat Nahi Karta.

D.(AAYAT NO 4) Ye Jisse Hum Tere Saamne Padhrahe Hai (Ye) Aayaten Hai Aur Hikmat Waali Nasihat Hai.

E.(AAYAT NO 5) Allah Taala Ke Nazdeek Isa (A.S) Ki Misaal Hu Ba’hu Adam (A.S) (Jaisi) Hai Jisse Mitthi Se Bana Kar Ke Keh Diya HoJa ! Pas Wo Hogaya !. F.(AAYAT NO 6) Tere Rab Ki Taraf Se Haq Yahi Hai Khabardaar Shak Karne Waalo Me Na Hona. G(AAYAT NO 7) Isliye Jo Shaks Aapke Pass Is Ilm Ke Aajane Ke Baad Bhi Aap Se Isme Jhagde To Aap Kehde’n Ke Aao Hum Tum Apne Apne Farzando (Betao) Ko Aur Hum Tum Apni Apni Aurtao (Biwi’o) Ko Aur Hum Tum Khaas Apni Apni Jaan’o Ko Bula’len Phir Hum Aajizi Ke Saat Ilteja Kare’en Aur Jhuut’o Par Allah Ki Laanat Kare.

H.(AAYAT NO 8) Yaqinan Sirf Yahi Saccha Bayan Hai Aur Koi Mabood Bar Haq Nahi Bajaez Allah Taala Ke Aur Beshak Ghalib aur Hikmat Waala Allah Taala Hi Hai. (AAYAT NO 9) Phir Bhi Agar Qubool Na Kare To Allah Taala Bhi Saheeh Taur Par Fasadiyao Ko Janne Waala Hai.

ABOUT US:

Title:Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 14 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply