Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 16 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

kahoallahekhai@gmail.com
5 Min Read

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 16 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

آل عمران

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 16 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.

PARA:- {03}.

RUKU NO:- {16}.

AAYAT’EN:- {9}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI

A.(AAYAT NO 1) Aur Ehle Kitaab Ki (Yani Pichli Kitaab Wali) Ek Jamaat Ne Kaha Ke Jo Kuch Imaan Waalo Par Utaara Gaya Hai Us Par Din Jhade To Imaan Lao Aur Shaam Ke Waqt Kafer Banjao’ Taake Ye Log Bhi Palat Jaye.

B.(AAYAT NO 2) Aur Siwaey Tumhare Deen Par Chalne Waalao Ke Kisi Ka Yaqeen Na Karo. Aap Kehdijiye Ke Be’Shak Hidayat To Allah Hi Ki Hidayat Hai ( Aur Ye Bhi Kehte Hai Ke Is Baat Ka Bhi Yaqeen Na Karo) Ke Koi Is Jaisa Diya Jaye Jaisa Tum Diye Gaye Ho Ya Ye Ke Ye Tum Se Tumhare Rab Ke Pass Jhagda Karenge’ Aap Kehdijiye Ke Fazal To Allah Taala Hi Ke Haat Me Hai’ Wo Kise Chahe Usse De’ Allah Taala Wasa’at Waala Aur Janne Waala Hai.

C.(AAYAT NO 3) Wo Apni Rehmat Ke Saat Jise Chahe Maqsoos Karle Aur Allah Taala Bade Fazal Waala Hai.

D.(Aayat No 4)Baaz Ehle Kitaab To Aaise Hai Ke Agar Inhe Aap Khazane Ameen Banade To Bhi To Aap Ko Wapis Karde Aur Unme Se Baaz Aaise Bhi Hai Ke Agar Aap Unhe Ek Deenaar Bhi Amaanat De To Aapko (Wapas) Ada Na Kare Haan Ye Aur Baat Hai Ke Aap Uske Sar Par Hi Khade Rahe’ Ye Isliye Ke Unhu Ne Keh Rakkha Hai Ke Hum Par Un Jahilo (Ghair Yahoodi)Ke Haq Ka Koi Gunah Nahi’ Ye Log Bawajood Janne Ke Allah Taala Par Jhoot Kehte Hai.

E.(AAYAT NO 5) Khu Nahi ( Muaqazah Hoga) Albatta Jo Shaqs Apna Qarar Pura Pura Kare Aur Parhezgaari Kare To Allah Taala Bhi Aise Parhezgaar;o Se Mohabbat Karta Hai.

F.(AAYAT NO 6)  Be’shak Jo Log Allah Taala Ke Ehed Aur Apni Khasmao Ko Thodi Kheemat Par Bech’dalte Hai’ Unke Liye Aqhirat Me Koi Hissa Nahi’ Allah Taala Na To Unse Baat Cheet Karega Na Unki Taraf Qayamat Ke Din Dekhega’ Na Unhe Paak Karega Aur Unke Liye Dard’naak Azaab Hai.

G.(AAyat no 7) Yaqinan Unme Aisa Guroh Bhi Hai Jo Kitaab Padhte Hue Apni Zabaan Madodhta Hai Taake Tum Use Kitaab Hi Ki Ibaadat Khayal Karo Haan’laake Darasal Wo Kitaab Me Se Nahi’ Aur Ye Kehte Bhi Hai Ke Wo Allah Taala Ki Taraf Se Hai Haan’laake Darasal Wo Allah Taala Ki Taraf Se Nahi’ Wo To Dansta Allah Taala Par Jhoot Bolte Hai.

H.(AAYAT NO 8) Kisi Aise Insaan Ko Jise Allah Taala Kitaab Wo Hikmat Aur Nabuwat De’ Ye Layaq Nahi Ke Phir Bhi Wo Logo Se Kahe Ke Tum Allah Taala Ko Chordkar Mere Bande Banjao’ Tumhare KItaab Sikhaane Ke Baa’es Aur Tumhare Kitaab Padhne Ke Sabab.

I. (AYAT NO 9) Aur Ye Nahi (Ho Sakta) Ke Wo Tumhe Farishtao Aur Nabiyao Ko Rab Bana Lene Ka Hukum Kare’ Kya Wo Tumhare Musalman Hone Ke Baad Bhi Tumhe Kufur Ka Hukum Dega.

ABOUT US:

Title:Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 16 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply