Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 17 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

kahoallahekhai@gmail.com
4 Min Read

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 17 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

آل عمران

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 17 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.

PARA:- {03}.

RUKU NO:- {17}.

AAYAT’EN:- {11}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI

A.(AAYAT NO 1) Aur Jab Allah Ne Paighambarao Se Ahed Liya Ke Jab Mai Tum Ko Kitaab Aur Danayi Ata Karu Phir Tumhare Pass Koi Paighambar Aaye Jo Tumhari Kitaab Tasdeeq Kare To Tumhe Zaroor Us Par Imaan Laana Hoga Aur Zaroor Uski Madat Karni Hogi. Aur (Ahed Lene Ke Baad) Pucha Ke Bhala Tumne Iqrar Kiya Aur Is Iqraar Par Mera Mera Zimma Liya (Yani Mujhe Zamin Tehraya) Unhu Ne Kaha (Haan) Humne Iqrar Kiya’ (Allah Ne) Farmaya Ke Tum (Is Ahed-o-Paimank) Gawah Raho Aur Mai Tumhare Saat Gawah Rahunga.

B.(AAYAT NO 2) To Jo Uske Baad Phir Jaye Woh Badkirdaar Hai.

C.(AAYAT NO 3) Kya Ye (Kafer) Allah Ke Deen Ke Siwa Kisi Aur Deen Ke Talab Me Hai’ Halaake Sab Ahle Aasmaan-Wa-Zameen Khushi Ya Zabardasti Se Allah Ke Farmabardaar Hai Aur Usi Ki Taraf Laut Kar Jayenge

D.(Aayat No 4) Kaho Ke Hum Allah Par Imaan Laye Aur Jo Kitaab Hum Par Naazil Hui Aur Jo Saheefi Ibraheem Aur Ismail Aur Ishaq Aur Yaqoob Aur Unki Aulaad Par Utre Aur Jo Kitaab’e Musa Aur Isa Aur Dusre Ambiya Ko Parwardigaar Ki Taraf Se Mili Sab Par Imaan Laye’ Hum In Paighambarao Me Se Kisi Me Kuch Faraq Nahi Karte Aur Hum Usi (Allah-e-Wahid) Ke Farmabardar Hai.

E.(AAYAT NO 5) Aur Jo Shaqs Islam Ke Siwa Kisi Aur Deen Ka Taalib Hoga Woh Usse Hargiz Qubool Nahi Kiya Jayega Aur Aisa Shaks Aaqhirat Me Nuqsan Uthane Walo Me Hoga.

F.(AAYAT NO 6) Allah Aise Logao Ko Kyu’Kar Hidayat De Jo Imaan Lane Ke Baad Kafir Ho Gaye Aur (Pehle) Is Baat Ki Gawahi De Chuke Ke Ye Paighambar Barhaq Hai Aur Unke Pass Dalayal Bhi Aagaye Aur Allah Be-Insaafo Ko Hidayat Nahi Deta.

 G.(AAYAT NO 7) Unlogao Ki Saza Ye Hai Ke Un Par Allah Ki. Aur Farishtao Ki Aur Insaano Ki Sab Ki Laanat Ho.

H.(AAYAT NO 8) Hamwsha Is Laanat Me (Gireftaar) Rahenge Unse Na To Azaab Halka Kiya Jayega Aur Na Unhe Mohlat Di Jayegi

I.(AAYAT NO 9) Haan Jinhu Ne Iske Baad Tauba Ki Aur Apni Haalat Dusri Karli (Badal di) To Allah Baqashne Waala Meherbaan Hai.

J.(AAYAT NO 10) Jo Log Imaan Laane Ke Baad Kafir Hogaye Phir Kufr Me Badhte Gaye Aisao Ki Tauba Hargiz Qubool Nahi Hogi Aur Ye Log Gumrah Hai.

K.(AAYAT NO 11) Jo Log Kafir Hue Aur Kafir Hi Ki Haalat Me Margaye Wo Agar ( Najat Hasil Karni Chahe Aur) Badle Me zameen Bhar Kar Sona De To Hargiz Qubool Nahi Kiya Jayega. Unlogao Ko Dukh Dene Waala Azaab Hoga. Aur Unki Koi Madat Nahi Karega.

ABOUT US:

Title:Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 17 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply