Walmuhsinatu Pare 05 Ruku No 1 With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

kahoallahekhai@gmail.com
3 Min Read

Walmuhsinatu Pare 05 Ruku No 1 With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

سورة النساء 

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Walmuhsinatu Pare 05 Ruku No 1 With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

 SURAH AN-NISA MADANI HAI ISME 176 AAYATE HAI.

PARA:- {05}.

RUKU NO:- {1}.

AAYAT’EN:- {02}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI.

A. (AAYAT NO 1) Aur (Haram Ki Gayi) Shohar Waali Aurte’n (Yani Shadi Shuda) (Lekin) Wo Jo Tumhari Mikiyat Me Aajaye Allah Taala Ne Ye Ehkaam Tum Par Farz Kardiye Hai Aur In Aurtao Ke Siwa Aur (Dusri) Aurte’n Tumhare Liye Halal Ki Gayi Ke Apne Maal Ke Meher Se Tum Un Se Nikah Karna Chaho Bure Kaam Se Bachne Ke Liye Naake Shewat Zaani Karne Ke Liye’ Isliye Jinse Tum Faidah Uthao Unhe Unka Muqarrar Kiya Hua Meher De Do’ Aur Meher Muqarrar Hojane Ke Baad Tum apas Ki Raza Mandi Se Jo taye Karlo Usme Tum par Koi Gunah Nahi’ Be’shak Allah Taala Ilm waala Hikmat Waala Hai.

B.(AAYAT NO 2) Aur Tum Me Se Jis Kisi Ko Azaad Musalmaan Aurtao Se Nikah Karne Ki Puri wasaat Wo Taqat Na Ho To Wo Musalman Laundiyao (Yani Khadma) Se Jin Ke Tum Maalik Ho (Apna Nikah Karle) Allah Tumhare Aamaal Ko Baqubi Janne Waala Hai’ Tum Sab Aapas Me Ek Hi To Ho’ Isliye Inke Maaliko Ki Ijaazat Se Unse Nikah Karlo’ Aur Qaedah Ke Mutabiq Unke Meher Unko Do’ (Aur) Wo Paak Daman Ho’ Naake Alaniya Badkaari Karne Wali’ Na Khufiya Aashnayi Karne Wali’ Pas Jab Ye Laundiya (Khadma) Nikah Me Aajaye Phir Agar Wo Be’Hayayi Ka Kaam Kare To Unhe Aadhi Saza Hai Us Saza Se Jo Azaad Aurtao Ki Hai’ Kanizao Se Nikah Ka Ye Hukum Tum Me Se Un Logao Ke Liye Hai Jinhe Jinhe Gunah Aur Takleef Ka Andesha Ho Aur Tumhara Zabt Karna Bohat Behtar Hai Aur Allah Taala Bada Baqashne waala Aur Badi Rehmat Waala Hai.

ABOUT US:

Title:Walmuhsinatu Pare 05 Ruku NO 1 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.

Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply