Para 1 Ruku 4 | Surah Al Baqarah Ruku 04 with Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Para 1 Ruku 4 | Surah Al Baqarah Ruku 04 with Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {01}.
AAYAT’EN:- {12}.
A(AAYAT NO 1 ) AUR JAB TERE RAB NE FARISHTAO SE KAHA KE MAI ZAMEEN ME KHALIFA BANANE WALA HU TO INHU NE KAHA AISE SHAQS KO KYU PAIDA KARTA HAI JO ZAMEEN ME FASAAD KARE AUR KHOON BHAYE? AUR HAU TERE TASBEEH’ HAMD AUR PAKISGI BAYAN KARNE WALE HAI ALLAH TAALA NE FARMAYA JO MAI JAANTA HU WO TUM NAHI JANTE. B(AAYAT NO2) AUR ALLAH TAALA NE ADAM KO TAMAAM NAAM SIKHA KAR IN CHEEZAO KO. C(AAYAT NO 3) FARISHTAO KE SAMNE PESH KIYA AUR FARMAYA AGAR TUM SACCHE HO TO IN CHEEZAO KE NAAM BATAO. D(AAYAT NO 4) UN SAB NE KAHA AAYE ALLAH! TERI ZAAT PAAK HAI HUME TO SIRF ITNA HI ILM HAI JITNA TU NE HUME SIKHA RAKHA HAI PURE ILM WO HIKMAT WALA TU HI HAI.
E(AAYAT NO 5) ALLAH TAALA NE (HAZRAT) ADAM A.S SE FARMAYA TUM INKE NAAM BATAO JAB INHU NE BATADIYE TU FARMAYA KYA MAI NE TUMHE PEHLE HI NA KAHA THA KE ZAMEEN AUR AASMANAO KA GHAIB MAI HI JAANTA HU AUR MERE ILM ME HAI JO TUM ZAHIR KARRAHE HO AUR JO TUM CHUPA TE THE.
F(AAYAT NO6) AUR JAB HUMNE FARISHTAO SE KAHA KE ADAM KO SAJDA KARO TO IBLEES KE SIWA SAB NE SAJDA KIYA ISNE INKAAR KIYA. G( AAYAT NO 7) AUR TAKABBUR KIYA AUR WO KAFERO ME HO GAYA. H( AAYAT NO 8) AUR HUMNE KEHDIYA KE AAYE ADAM ! TUM AUR TUMHARI BIWI JANNAT ME RAHO AUR JAHA KAHI SE CHAHO BA FARAGHAT KHAO PIYO LEKIN US DARAQT KE KHAREEB BHI NA JANA WARNA ZALIM HOJAOGE.
I(AAYAT NO 9) LEKIN SHAITAAN NE INKO BEHKA KAR WAHA SE NIKALWA HI DIYA AUR HUM NE KEHDIYA KE UTAR JAO’! TUM EK DUSRE KE DUSHMAN HO AUR EK MUQARRAR WAQT TAK TUMHARE LIYE ZAMEEN ME THAIRNA AUR FAIDA UTHANA HAI. J(AAYAT NO10) ( HAZRAT) ADAM A.S NE APNE RAB SE CHAND BAATE SEEKH LI AUR ALLAH TAALA NE UNKI TAUBA QABOOL FARMAYI’ BESHAK WAHI TAUBA QABOOL KARNE WALA AUR REHEM KARNE WALA HAI. K(AAYAT NO 11) HUMNE KAHA TUM SAB YAHA SE CHALE JAO’ JAB KABHI TUMARE PASS MERI HIDAYAT POHNCHE TO USKI TABEDAARI KARNE WALAO PAR KOI KHAOF WO GHAM NAHI. L(AAYAT NO 12) AUR JO INKAAR KE HAMARI AAYATAO KO JHUTLAYE WO JHANNUMI HAI AUR HAMESHA IS ME RAHENGE.
ABOUT US:
Title: Para 1 Ruku 4 | Surah Al Baqarah Ruku 04 with Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.