Surah Duha With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

kahoallahekhai@gmail.com
2 Min Read

Surah Duha With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.

Surah Ad-Duha Makki – 21 aayatein – 1 rukoo

Shuru Allah ka naam lekar jo bada meherbaan nihayat rehem wala hai. 

(AAYAT NO 1). Raat ki qasam jab (din) ko chhupa le.  (AAYAT NO 2). Aur din ki qasam jab chama uthe. (AAYAT NO 3). Aur us (zaat) ki qasam jisne na aur mada paida kiye. (AAYAT NO 4). Ke tum logon ki  Koshish Tarha Tarha Ki Hai. (AAYAT NO 5). To jisne (Allah k raste mei maal) dia aur parhezgaari ki. (AAYAT NO 6). Aur nek baat ko sach jaana. (AAYAT NO 7). Usko Hum aasaan tareeqe k to feeq denge.

(AAYAT NO 8) . Aur jisne bukhl kia aur beparwa bana raha. (AAYAT NO 9). Aur nek baat ko jhoot samjha. (AAYAT NO 10). Use sakhti mein pahoncha denge. (AAYAT NO 11).Aur jab woh (Dozakh k ghade mein) girega to uska maal uske kuchh bhi kaam na aayega. (AAYAT NO 12). Hume to raah dikha dena hai. (AAYAT NO 13) . Aur Aakhirat aur dunya Hamari hi chizen hain. 

(AAYAT NO 14) . So maine tum ko bhadakti aag se mutanabbah kar dia. (AAYAT NO 15). Isme wohi dakhil hoga jo bada badbakht hai. (AAYAT NO 16). Jisne jhutlaya aur munh phera. (AAYAT NO 17). Aur jo bada parhezgaar hai woh (usse) bacha liya jayega.  (AAYAT NO 18). Jo maal deta hai taake paak ho. (AAYAT NO 19). Aur (isliye) nahi (deta ke) us par kisi ka ahsaan (hai) jiska woh badla utaarta hai.  (AAYAT NO 20). Balke apne Allah ki razamandi hasil karne k liye deta hai.  (AAYAT NO 21) . Aur woh unqareeb khush ho Jayega.

ABOUT US:

Title: Surah Ad-Duha With Urdu Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply