Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 12 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

kahoallahekhai@gmail.com
5 Min Read

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 12 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

آل عمران

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 12 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.

SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.

PARA:- {03}.

RUKU NO:- {12}.

AAYAT’EN:- {11}

SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI

A.(AAYAT NO 1) Kehdijiye ! Agar Tum Allah Taala Se Mohabbat Rakhte Ho To Meri Tabedaari Karo’ (Phir) Khud Allah Taala Tumse Mohabbat Karega Aur Tumhare Gunah Maaf Farma Dega Aur Allah Taala Bada Baqashne Waala Meherbaan Hai.

B.(AAYAT NO 2) Kehdijiye ! Ke Allah Taala Aur Rasool Ki Itaa’at Karo’ Agar Ye Muh Phair Le To Beshak Allah Taala Kafer’o Se Mohabbat Nahi Karta. C.(AAYAT NO 3) Be’shak Allah Taala Ne Tamaam Jahan Ke Logao Me Se Adam (A.S) Ko Aur Nooh (A.S) Ko’ (Aur) Ibraheem (A.S) Ke Qhandaan Aur Imran Ke Qhandaan Ko Muntaqhib Farmaliya.

D.(AAYAT NO 4) Ke Ye Sab Apas Me Ek Dusre Ki Nasal Se Hai Aur Allah Taala Sunta Jaanta Hai. E.(AAYAT NO5) Jab Imean Ki Biwi Ne Kaha Ke Aaye Mere Rab ! Mere Pet Me Jo Kuch Hai’ Isse Maine Tere Naam Azaad Karne Ki Nazar Maani’ (Yani Allah Se Mannat Mangi) Tu Meri Taraf Se Qabool Farma ! Yaqinan Tu Qhoob Sunne Waala Aur Puri Tarha Janne Waala Hai.

F.(AAYAT NO 6) Jab Bacchi Ko Jana To Kehne Lagi Ke Parwardigaar ! Mujhe To Ladhki Hui’ Allah Taala Ko Khoob Maloom Hai Ke Kya Awlaad Hui Hai’ Aur Jo Ladka Isne Manga Is Ladki Jaisa Nahi’ Maine Iska Naam Mariyam Rakha’ Mai Ise Aur Iski Awlaad Ko Shaitaan Mardood Se Teri Panah Me Deti Hu.

G.(AAYAT NO 7) Pas Ise Iske Parwardigaar Ne Acchi Tarha Qabool Farmaya Aur Ise Behtareen Parwarish Di’ Iski Khair Khabar Lene Wale Zakariya (A.S) Ko Banaya’ Jab Kabhi Zakariya (A.S) Inke Hujre Me Jaate (To) Inke Pass Rozi Rakhi Hui Paate’ Wo Puchte Aaye Mariyam’ Ye Rozi Tumhare Pass Kaha Se Aayi? Wo Jawab Deti Ke Ye Allah Taala Ke Pass Se Hai’ Be’shak Allah Taala Be’shumaar Rozi De.

H.(AAYAT NO 8) Isi Jagah Zakariya (A.S) Ne Apne Rab Se Dua Ki’ Kaha Ke Aaye Mere Parwardigaar ! Mujhe Apne Pass Se Pakizah Awlaad Ataa Farma’ Be’shak Tu Dua Ka Sunne Waala Hai.

I.(AAYAT NO9) Pas Farishtao Ne Inhe Awaaz Di’ Jab Ke Wo Hujre Me Khade Namaz Padhrahe The’ Ke Allah Taala Tujhe Yahiya Ki Yaqini Khushkhabri Deta Hai’ Jo Allah Taala Ke Kalme Ki Tasdeeq Karne Waala’ Sardar Zabit Nafs Aur Nabi Hai Naik Logao Me Se.

J.(AAYAT NO 10) Kehne Lage Aaye Mere Rab ! Mere Yaha Baccha Kaise Hoga ? Mai Bikul Budha Hogaya Hu Aur Meri Biwi Baanj Hai’ (Allah Ne) Farmaya Is’si Tarha Allah Taala Jo Chahe Karta Hai.

K.(AAYAT NO 11) Kehne Lage Parwardigaar ! Mere Liye Iski Koi Nishaani Muqarrar Karde’ (Allah Ne) Farmaya Nishani Ye Hai Ke Teen Din Tak Tu Logao Se Baat Na Kar Sakega’ Sirf Ishare Se Samjhayega’ Tu Apne Rab Ka Zikar Kasrat Se Kar Aur Subah Wo Shaam Iski Tasbeeh Bayan Karta Reh.

ABOUT US:

Title:Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 102With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
o

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply