Wazu Ki Dua | Wazu Shuru Karte Waqt Ki Dua Roman English Mai

kahoallahekhai@gmail.com
1 Min Read

Wazu Ki Dua.

Dua: Bismillaah
بِسْمِ اللَّهِ
Tarjuma: Shuru Karta Hoon Allah Ke Naam Se.

[Nasai: 78, Anas Raziyallah Hu Taala Anhu]

Wazu Ki Dua.

Hazrath Anas Raziyallah Hu Taala Anhu se riwayat hai ke Nabi Kareem (Sallalaahu Alaihi Wa Sallam) Ne Farmaya: Kya tum mai se kisi ke pass kuch pani hai? (Pani laya gaya) To apne apna hath pani mai rakhdiya aur farmaya: Allah ka naam lekar wazu karo.

Chunache mai ne apne ap ki ungliyo’n ke darmiyan se pani nikalta dekha hatta’ ke sab ne wazu karliya.

(Hazrath Anas Raziyallah Hu Taala Anhu ke shagird) Sabit ne kaha ke mai ne Hazrath Anas Raziyallah Hu Taala Anhu se pucha: Ap ke khayal mai wo kitne honge? To Unhune farmaya: Takhriban Sattar (70).

Title: Wazu Ki Dua
Written This Blog By Mohammed Bilal Bin Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Website: KahoAllahEkHai.Com
Studio: Asia Islamic Studio

Important Note:

عطیہ کے ذریعہ ہماری مدد کریں اور پوری دنیا میں اسلامی خدمات دینے میں ہمارے ساتھ شامل ہوں۔

Donation Ke Zariye Hamari Madad Karien Aur Puri Duniya Mai Islamic Kidmaat Phailane Mai Hamare Sath Shamil Hoon.

Jaza Kallah Hu Kaira!

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply