Sayaqool Para 02 Ruku 03 | Surah Baqarah Ruku 19 With Urdu-Hindi Tarjuma & Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Sayaqool Para 02 Ruku 03 | Surah Baqarah Ruku 19 With Urdu-Hindi Tarjuma & Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {02}.
RUKU NO:- {03}.
AAYAT’EN:- {11}.
A.(AAYAT NO1) Aaye Imaan Walo ! Sabar Aur Namaaz Ke Zariye Madat Chaho ‘ Allah Taala Sabar Waalo Ka Saath Deta Hai. B.(AAYAT NO2) Aur Allah Taala Ki Raah Ke Shaheed”o Ko Murda Mat Kaho Wo Zinda Hai’ Lekin Tum Nahi Jaante. C.(AAYAT NO3) Aur Hum Kisi Na Kisi Tarha Tumhari Aazmaeesh Zaroor Karinge’ Dushman Ke Dar Se’ Bhook Piyaas Se’ Maal Wo Jaan Aur Phalao Ki Kami Se Aur In Sabar Karne Walao Ko Khushkhabri Dedijiye.
D.(AAYAT NO4) Kisiko Jab Kabhi Koi Musibat Aati Hai To Kehdiya Karte Hai Ke Hum To Khud Allah Taala Ki Milkiyat Hai Aur Hum Iski Taraf Lautne Waale Hai.
E.(AAYAT NO 5) Inpar Inki Rab Ki Nawazishe aur Rehmate Hai Aur Yahi Log Hidayat Yafta Hai. F.(AAYAT NO6) Safa Aur Marwa Allah Taala Ki Nishaniyao Me Se Hai’ Isliye Bait’ulla Ka Hujj Wo Umrah Karne Wale Par Inka taouf Karlene Me Bhi Koi Gunah Nahi Apni Khushi Se Bhalayi Karne Walao Ka Allah Qadardaan Hai aur Inhe Khoob janne Wala Hai.
G.(AAYAT NO 7) Jo Log Hamari Utaari Hui Daleel’o Aur Hidayat Ko Chupate Hai Bawajood Ye Ke Hum isse Apni Kitaab Me Logao Ke Liye Bayan Kar Chuke Hai Inlogao Par Allah Ki aur Tamaam Lanat Karne Walao ki Laanat Hai.
H.(AAYAT NO 8) Magar Wo Log Jo Tauba Karle Aur Islah Karle Aur Bayan Larden To Mai Inki Tauba Qabool Karleta Hu Aur Mai Tauba Qabool Karne Wala aur Rehem Wo Karam Karne Wala Hu. I.(AAYAT NO 9) Yaqeenan Jo Kuffar Apne Kufr Me Hi Marjaye’ In Par Allah Taala Ki’ Farishtao Ki Aur Tamaam Logao Ki lanat Hai.
J.(AAYAT NO 10) Jis Me Ye Hamesha Rahinge’ Na Inse Azaab Halka Kiya Jayega Aur Na Inhe Dheel Di Jayegi. K.(AAYAT NO 11) Tum Sab Ka Mabood Ek Hi Mabood Hai’ Iske Siwa Koi Mabood Bar’Haq Nahi Wo Bohat Rehem Karne Wala Aur Bada Meherbaan Hai.
ABOUT US:
Title: Sayaqool Para 02 Ruku 03 With Urdu-Hindi TARJUMA Translation
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studi
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.