Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation

kahoallahekhai
4 Min Read

Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.

سورة البقرة

ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.

KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.

Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.

SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.

PARA:- {01}.

RUKU NO:- {01}.

AAYAT’EN:- {4}.

A(AAYAT NO 1)  AUR (WO ZAMANA YAAD KARO) JAB  LIYA  HUMNE  ( TAURAAT  ME)  KHAOL WO QHARAR  BANI  ISRAEL  SE  KE  IBAADAT  MAT  KARNA  (KISI KI) SIWA’E  ALLAH  TAALA  KE  AUR  MAA BAAP  KI  ACCHI  TARHA  KHID MAT  GUZARI  KARNA  AUR  EHLE  QARABAT  KI  BHI  AUR  BE BAAP  KE  BACCHAO  KI  BHI  AUR  GHAREEB  MOHTAJAO  KI  BHI  AUR  AAM  LOGAO  SE  BAAT  ACCHI  TARHA  (KHUSH  KHALQI SE)   KEHNA  AUR  PAABANDI  RAKHNA  NAMAZ KI  AUR  ADAA KARTE  REHNA  ZAKAAT  PHIR  TUM  (PHIR  TUM  QHAOL  WO QHARAAR KARKE)  IS’SE  PHIR  GAYE  BAJAIZ  CHAND  MUAEDE  KE  AUR  TUMHARI  TO   MAAMULI  AADAT  HAI  IQRAAR  KARKE  HAT  JANA.

B(AAYAT NO 2) AUR  (WO ZAMANA BHI YAAD KARO )  JAB  HUMNE  TUMSE  QHAOL WO QHARAAR  (BHI)  LIYA  KE  BA’HAMI  KHOON REZI  MAT  KARNA  AUR  EK  DUSRE  KO  TARK  E  WATAN  MAT  KARNA  PHIR  TUMNE  IQRAAR  BHI  KARLIYA  AUR  ( IQRAAR BHI  ZAMANAN NAHI  BALKE  AISA  SAREEH  JAISE)  TUM SHAHADAT  DETE  HO.

C(AAYAT NO 3)  PHIR  TUM  YE  (AANKHAO KE  SAMNE MAUJOOD  HI ) HO  (KE) QHATAL WO  QHATAAL  BHI  KARTE  HO AUR  EK  DUSRE  KO  TARK E WATAN  BHI  KARTE  HO (IS TAUR PAR KE)  UN  APNAO  KE   MUQABLE  ME  ( UN KI MUQAALIF QHAUM’O  KI)  IMDAAD  KARTE  HO  GUNAH  AUR  ZULUM  KE SAAT  AUR  AGAR  IN  LOGAO  ME  SE  KOI  GIREFTAAR  HO  KAR  TUM  TAK  POHANCH  JATA  HAI  TO  AISAO  KO  KUCH  QHARCH  KAR  KARAAKE  REHA  KARA DETE  HO  HAANLAKE  YE  BAAT  (BHI  MALOOM) HAI  KE  TUM  KO  UNKA  TARK  E  WATAN  KARA  DENA  BHI  MAMNU  HAI,  KYA ( PAS YOUN KAHO KE ) KITAAB ( TAURAT ) KE  BAAZ  (EHKAAM) PAR  TUM  IMAAN  RAKHTE  HO  AUR  BAAZ PAR  IMAAN  NAHI  RAKHTE,  SO  AUR  KYA  SAZA  HO  AISE  SHAQS  KI  JO  TUM  LOGAO  ME  SE  AISI  HARKAT  KARE  BAJAIZ  RUSWAYI  KE  DUNIYA’WI  ZINDAGI  ME  AUR  ROZ  E  QHAYAMAT  KO  BADE  SAQT AZAAB  ME  DAAL  DIYE  JAINGE  AUR  ALLAH  TAALA (KUCH)  BE’QHABAR  NAHI  HAI  TUMHARE  AAMAAL  (ZASHAT) SE. 

D( AAYAT NO 4) YE  WO  LOG  HAI  KE  INHU  NE  DUNIYAWI  ZINDAGI  ( KE KHUTOOT) KO  LELIYA  HAI  BA’AAUZ  ( NIJAAT)  AAQIRAT  KE  SO  NA  TO INKI  SAZA ME (KUCH) TAQHFEEF  KI  JAYEGI  AUR  NA  KOI  INKI  TARAF  DAARI  ( PAIRWI)  KAR  NA  PAYENGE.

ABOUT US:

Title: Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio

Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.

Important Note:

To Support Us:

Jazakallah Hu Khaira.

Share This Article
Leave a comment

Leave a Reply