Para 1 Ruku 11 | Surah Al Baqarah Ruku 11 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Para 1 Ruku 11 | Surah Al Baqarah Ruku 11 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {01}.
RUKU NO:- {01}.
AAYAT’EN:- {11}.
A(AAYAT NO 1) Humne Hazrat Musa (A.S) Ko Kitab Di Aur Inke Piche Aur Rasool Bheje Aur Humne (hazrat) ISA Ibne Mariyam Ko Raushan Daleel’en Di Aur Rooh ul qudus Se Inki Taeed Karwayi Lekin Jab Kabhi Tumhare Pass Rasool Wo Cheez Laye Jo Tumhari Tabiyato Ke Khilaaf Thi’ Tumne Chat Se Takabbur Kiya’ Pas Baaz Ko To Jhutla Diya Aur Bazz Ko Qhatal Bhi Kar Dala. B(AAYAT NO2) Ye Kehte Hai Ke Hamare Dil Ghilaaf Waale Hai’ Nahi Nahi Balke Inke Kufar Ki Wajah Se Inhe Allah Taala Ne Maloon Kar Diya’ Inka Imaan Bhot Hi Thoda Hai.
C(AAYAT NO3) Aur In Ke Paas Jab allah Taala Ki Kitaab In Ki Kitaab Ko Saccha Karne Waali Aayi’ Haanla Ke Pehle Ye Khud ( Is Ke Zariye) Kafero Par Fatah Chahte The To Bawajood Aajane Aur Bawajood Pehchan Lene ke’ Phir Kufur Karne Lage’ Allah Taala Ki Laanat Ho In Kafer’o Par.
D( AAYAT NO4) Bohat Buri Hai Wo Cheez Jis Ke Badle Inhu Ne Apne Aapko Bech Daala’ wah inka kufar karna hai- Allah Taala Ki Taraf se Naazil Shuda Cheez Ke saat Muhez Is baat Se Jal Kar Ke Allah Taala Ne apna Fazal Apne jis bandeh Par Chaha Nazil farmaya.
E(AAYAT NO 5) Is Ke Ba’es Ye Log Ghazab Par Ghazab Ke Mustahiq Hogaye Aur In Kafero Ke Liye Ruswa Karne Wala Azaab Hai. F(AAYAT No 6) aur Jab Inse Kaha Jata Hai Ke allah Taala ki Utaari Hui Kitaab Par Imaan Lao To Keh Dete Hai Jo Hum Pae Utari Gayi Is par Hamara Imaan Hai — Haanlake Iske Baad Waali Ke Saath Jo In Ki Kitaab Ki Tasdeeq Karne Wali Hai’ Kufr Karte Hai’ Accha Inse Ye To Dariyaft Kare ke Agar Tumhara Imaan Pehli kitabao par hai to phir Tum Ne Phir Tumne Agle Ambiya ko Kyu Qatal Kya?. G ( AAYAT NO 7 ) Tumhare Pass To Musa Yahi Daleel Lekar Aaye Lekin Tum Ne Phir Bhi Bachda Puja’ Tum Ho Hi Zaalim.
H(AAYAT NO8) Jab Humne Tumse Waada Liya Aur Tum Par Toor Ko Khada Kardiya ( Aur Keh diya) Ke Hamari Di Hui Cheez Ko Mazboot Thaamo Aur Suno! To Inhu Ne Kaha’ Humne Suna Aur Nafarmani ki’ Aur Inke Dil’o Me Bachde Ki Mohabbat ( Goya ) Paladi Gayi Ba’sabab Inke Kufr Ke- Inse Keh Dijiye Ke Tumhara Imaan Tumhe Bura Hukum De Raha Hai’ Agar Tum Momin Ho.
I( AAYAT No 9) Aap Keh Dijiye Ke Agar Aaqirat Ka Ghar Sirf Tumhare Hi Liye Hai’ allah Ke Nazdeek Aur Kisi Ke Liye Nahi’ To Aao Apni Sacchai Ke Saboot Me Mout Talab Karo.
J(AAYAT NO10) Lekin Apni Kartoot”o Ko Dekhte Hue Kabhi Bhi Mout Nahi Mangenge’ Allah Taala Zalim;o Ko Khoob Jaanta Hai. K(AAYAT NO 11) Balke Sabse Ziyada Duniya Ki Zindagi Ka Hirees Aaye Nabi ! Aap Inhe Ko Paenge_ Ye Hiris Zindagi Me Mushrikao Se bhi Ziyada Hai’ Inme Se To Har shaqs Ek Ek Hazaar Saal Ki Umar Chahta Hai’ Goya Ye Umar Diya Jana Bhi inhe Azaab Se Nahi Chuda Sakta’ Allah Taala in Ke Kaamao Ko Baqubi Dekh Raha Hai.
ABOUT US:
Title: Surah Al Baqarah Ruku 11 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.