Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
سورة البقرة
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA { QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
SURAT UL BAQARAH:- MADANI HAI.
PARA:- {01}.
RUKU NO:- {01}.
AAYAT’EN:- {4}.
A(AAYAT NO 1) AUR (WO ZAMANA YAAD KARO) JAB LIYA HUMNE ( TAURAAT ME) KHAOL WO QHARAR BANI ISRAEL SE KE IBAADAT MAT KARNA (KISI KI) SIWA’E ALLAH TAALA KE AUR MAA BAAP KI ACCHI TARHA KHID MAT GUZARI KARNA AUR EHLE QARABAT KI BHI AUR BE BAAP KE BACCHAO KI BHI AUR GHAREEB MOHTAJAO KI BHI AUR AAM LOGAO SE BAAT ACCHI TARHA (KHUSH KHALQI SE) KEHNA AUR PAABANDI RAKHNA NAMAZ KI AUR ADAA KARTE REHNA ZAKAAT PHIR TUM (PHIR TUM QHAOL WO QHARAAR KARKE) IS’SE PHIR GAYE BAJAIZ CHAND MUAEDE KE AUR TUMHARI TO MAAMULI AADAT HAI IQRAAR KARKE HAT JANA.
B(AAYAT NO 2) AUR (WO ZAMANA BHI YAAD KARO ) JAB HUMNE TUMSE QHAOL WO QHARAAR (BHI) LIYA KE BA’HAMI KHOON REZI MAT KARNA AUR EK DUSRE KO TARK E WATAN MAT KARNA PHIR TUMNE IQRAAR BHI KARLIYA AUR ( IQRAAR BHI ZAMANAN NAHI BALKE AISA SAREEH JAISE) TUM SHAHADAT DETE HO.
C(AAYAT NO 3) PHIR TUM YE (AANKHAO KE SAMNE MAUJOOD HI ) HO (KE) QHATAL WO QHATAAL BHI KARTE HO AUR EK DUSRE KO TARK E WATAN BHI KARTE HO (IS TAUR PAR KE) UN APNAO KE MUQABLE ME ( UN KI MUQAALIF QHAUM’O KI) IMDAAD KARTE HO GUNAH AUR ZULUM KE SAAT AUR AGAR IN LOGAO ME SE KOI GIREFTAAR HO KAR TUM TAK POHANCH JATA HAI TO AISAO KO KUCH QHARCH KAR KARAAKE REHA KARA DETE HO HAANLAKE YE BAAT (BHI MALOOM) HAI KE TUM KO UNKA TARK E WATAN KARA DENA BHI MAMNU HAI, KYA ( PAS YOUN KAHO KE ) KITAAB ( TAURAT ) KE BAAZ (EHKAAM) PAR TUM IMAAN RAKHTE HO AUR BAAZ PAR IMAAN NAHI RAKHTE, SO AUR KYA SAZA HO AISE SHAQS KI JO TUM LOGAO ME SE AISI HARKAT KARE BAJAIZ RUSWAYI KE DUNIYA’WI ZINDAGI ME AUR ROZ E QHAYAMAT KO BADE SAQT AZAAB ME DAAL DIYE JAINGE AUR ALLAH TAALA (KUCH) BE’QHABAR NAHI HAI TUMHARE AAMAAL (ZASHAT) SE.
D( AAYAT NO 4) YE WO LOG HAI KE INHU NE DUNIYAWI ZINDAGI ( KE KHUTOOT) KO LELIYA HAI BA’AAUZ ( NIJAAT) AAQIRAT KE SO NA TO INKI SAZA ME (KUCH) TAQHFEEF KI JAYEGI AUR NA KOI INKI TARAF DAARI ( PAIRWI) KAR NA PAYENGE.
ABOUT US:
Title: Para 1 Ruku 10 | Surah Al Baqarah Ruku 10 With Urdu-Hindi Tarjuma And Translation.
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Follow, Subscribe and Join Our Channels, Pages, and Groups For The Latest Updates, Latest News, Latest Quran Videos, Photos, and For Much More.
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.