Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 10 | Surah Aal e Imran Ruku 2 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.
آل عمران
ASSALAMUALIKUM WARAHMATULLAHI WABARKATUHU.
KHUSH AMADEED HAI AAP SAB KA HAMARE WEBSITE PAR AAP SAB KE LIYE ROZ AANA {QURAN KA } EK RUKU POST KIYA JAYEGA AAP SAB SE GUZARISH HAI KE AAP SAB PADH KAR DUSRAO TAK SHARE KARIYE.
Tilkarrusulu Pare 03 Ruku No 10 | Surah Aal e Imran Ruku 2 With Urdu Hindi Tarjuma And Transletion.
SURAH AAL~E ~IMRAN MADANI HAI ISME 200 AAYATE HAI.
PARA:- {03}.
RUKU NO:- {10}.
AAYAT’EN:- {11}
SHURU KARTA HU ALLAH TAALA KE NAAM SE JO BADA MEHERBAAN NIHAYAT REHEM WALA HAI
A.(AAYAT NO1 ) Kafero Ke Inke Maal Aur Unki Awlaad Allah Taala (ke Azaab) Se Churdane Me Kuch Kaam Na Aayegi Ye To Jahannum Ka Endhan Hi Hai.
B.(AAYAT NO 2) Jaisa Aal e Firaun Ka Haal Hua’ Aur Unka Jo Unse Pehle The’ Unhu Ne Hamari Aayato Ko Jhutlaya’ Phir Allah Taala Ne Bhi Inhe Inke Gunahao Par Pakad Liya’ Aur Allah Taala Saqt Azaab Wala Hai. C.(AAYAT NO 3) Kafero Se Kehdijiye ! Ke Tum Ankhareeb Maghloob Kiye Jaoge Aur Jahannum Ki Taraf Jama Kiye Jao Ge Aur Wo Bura Thikana Hai.
D.(AAYAT NO 4) Yaqinan Tumhare Liye Ibrat Ki Nishani Thi In Do Jamato Me Jo Gath Gayi Thi’ Ek Jamat To Allah Taala Ki Raah Me Ladhrahi Thi Aur Dusra Guroh Kafero Ka Tha Wo Inhe Apni Aankhao Se Apne Se Dugna Dekhte The Aur Allah Taala Jise chahe Apni Madat Se Qawi Karta Hai’ Yaqinan Ismr Aankhao Walao Ke Liye Badi Ibrat Hai.
E.(AAYAT NO 5) Marghoob Cheezo Ki Mohabat Logao Ke Liye Mazeen Kardigayi Hai’ Jaise Aurte’ Aur Bete Aur Sona Aur Chandi Ke Jama Kiye Hue Khazane Aur Nishandar Ghode Aur Chaupaye Aur Kheti’ Ye Duniya Ki Zindagi Ka Saamaan Hai Aur Lautne Ka Accha Thikana To Allah Taala Hi Ke Pass Ha.
F.(AAYAT NO 6) Aap Kehdijiye ! Kya Mai Tumhe Isse Bohat Hi Behtar Cheez Batao ? Taqwa Walao Ke Liye Inke Rab Taala Ke Pass Jannate Hai Jinke Neeche Nehre Behrahi Hai Jinme Wo Hamesha Rahinge Aur Pakizah Biwiya Aur Allah Taala Ki Raza Mandi Hai Sab Bande Allah Taala Ki Nigah Me Hai.
G.(AAYAT NO 7) Jo Kehte Hai Ke Aaye Hamare Rab ! Hum Imaan Laa chuke Isliye Hamare Gunah Maaf Farma Aur Hume Aag Ke Azaab se Bacha.
H.(AAYAT NO 8) Jo Sabar Karne Waale Aur Sach Bolne Wale Aur Farmabardari Karne wale Aur Allah Ki Raah Me Qarch Karne wale Aur Pichli Raat Ko Baqhshish Maangne wale hain.
I.(AAYAT NO 9) Allah Taala’ Farishte Aur Ehle Ilm Is Baat Ki Gawahi Dete Hai Ke Allah Ke siwa Koi Mabood Nahi Aur Wo Adl Ko Kayam Rakhne wala Hai’ Us Ghalib Aur Hikmat Wale Ke Siwa Koi Ibadat Ke Layaq nahi.
J.(AAYAT NO 10) Be’shak Allah Taala Ke Nazdeek Deen e Islaam Hi Hai’ Aur Ehle Kitaab Ne Apne Pass Ilm Aajane Ke Baad Aapas Ki Sarkashi Aur Hasad Ki Bina Par Hi Iqtelaaf Kiya Hai Aur Allah Taala Ki Aayato Ke saat Jo Bhi Kufr Kare Allah Taala Iska Jald Hisaab Lene wala Hai.
K.(AAYAT NO 11) Phir bhi Ye Aapse Jhagde To Aap Kehden Ke Mai Aur Mere Dabedar’o Ne Allah Tala Ke samne Apna Sar Tasleem Qam Kardiya Hai Aur Ehle Kitaab Se Aur Anpadh Logao Se Kehdijiye ! Ke Kya Tum Bhi Eta’at Karte Ho ? Pas Agar Ye Bhi Tabedaar Banjaye To Yaqinan Hidayat Wale Hai Aur Agar Ye Rugardaani Kare’ To Aap Par Sirf (Paigham) Pohnchadena Hai Aur Allah Bandao Ko Khoob Dekh Bhaal Raha Hai.
ABOUT US:
Title:Tilkarrusulu Pare 03 Ruku NO 10 With Urdu Hindi Tarjuma
Voice: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Written: Mohammed Haji Bin Mohammed Ghouse Bin Mohammed Burhan.
Audio: Asia Islamic Studio & Mohammed Bilal.
Written & Video Editing: Mohammed Hamza.
Website: www.kahoallahekhai.com
Studio: Asia Islamic Studio
Important Note:
To Support Us:
Jazakallah Hu Khaira.